Saturday, November 11, 2006

Shayari yeh bhi ..unki kalam se ..

Bewafa sanam se to yeh cigarette achhi
dil jalati hai per hothon se to lagti hai

dil jalany walo mein say hum nahi
hotho ko na chuyein koi gam nahi
per dil key andar jagah banayi thi
iss kambakhat cigarette ney voo bhi jaladi

[vah vah ..manna padega]

manna na chaha tha humney
humy chahat thi mohabbat ki
per yeh kya voo vah vah keh diye ...
dil ke tukde fenk kar chal diye

[nahin.. dil ke tukde jeb mein rakh ker chal diye]

jeb hi sahi kehin to rakha
kaniz ko apni mehak key pass to rakha

[ ..aaj aapka talent zoron per hai ..]

yeh hum nahi ishq ki awaj hai
tuty dill ka shabdo say izhar hai
kesay jiye bin appkey humy sikha dey
agar nahi hota yeh to zeher hi dila dey

[vah ..shabd nahin mere pass apki tarif ke]

tarif nahi pyar bhari nazar ki chah hai
kuch or na sahi halki si muskurat ki chah hai

[see how talented i am]
[man liya aapko ..aap to seedhe galib ki aulad lagti hain]

humney dil ka haal bayan kerna chaha
unhein dekho voo muskuraye
galib ki aulad keh ker chal diye

[chupa hua talent hai
talent ko kadradanon ki chah hoti hai]

[app jesay kadardan ki chah thi ..acha yeh sunein]

tum miley is dil hi her tammana puri hui
ajj key baad jiney ki chah chogini hui
khuda ka shukar karein kesay
app kahe to jaan nikal ker dey dey

is hasi key diwaney hum ho gaye
is ada key hum kayal ho gaye
humko mili inti mohhabat
is dunaiya se begane ham ho gaye

_________________________________________________

2 comments:

Anonymous said...

[man liya aapko ..aap to seedhe galib ki aulad lagti hain]

Correct it to ... galib ki aulad lagte hain.

Wah MC maan gaye..

Pritika Gupta said...

sahi hai.... yaar aisa kon tha jisne aapko sayar bana diya